Tuesday 25 June 2013

Filled Under:

KABER KI PUKAR


                                     KABER KE PUKAR


Hazrat Abu Huraira (RasiTala Anhu) fermatey hain kay hum aik martaba Hazrat Mohammed Salla Hu Alihe Wasalam kay hamra aik janza kay sath chaley. Kaberistan main pohnch ker Hazrat Mohammed Salla Hu Alihe Wasalam aik kaber kay pas tahreef ferma hue aor irshad fermaya kay kaber per koi din aisa nahi guzarta jis main who nihayat fasheeh aor saaf awaz kay sath yeh ailan nahi kerti kay Ay Adam: kay betay tu mujhe bhool giya. Main tanhai ka gher hon, ajnabiyat ka gher hon, main whshat ka gher hon, main keeron ka gher hon, main nihayat tangi ka gher hon, mager is shakas kay liye jis per Allah muje waseeh bana dey. Iskay baad Hazrat Mohammed Salla Hu Alihe Wasalam nay fermaya kay kaber janat kay bagoon main se aik bag hai ya dozah kay gharon main se aik ghara hai.


0 comments:

Post a Comment

Copyright @ 2013 history of islam.