Tuesday 25 June 2013

Filled Under:

JAHAN BI JAO MOUT AKER RAHAY GI


JAHAN BI JAO MOUT AKER RAHY GI



Rawayat hai Hazrat Haseema (Razi Tala Anhu) se kay mulk-ul Mout (Hazrat Izrail)aik bar Hazrat Sulaiman (Alihe Salam) ki majles main aye aor aik shaks ki tarf tajub se kuch deer tak dikhtey rahey. Jab Mulk-ul mout chaley gay to us ne Hazrat Suliman (Alehe Salam) se pocha: “yeh koon shaks tha?” App nay fermaya mulk-ul mout . unsay kaha who meri taraf is tarahn dikhtey they gooya meri roh kabz kernay ka irada rekhtey hain. App nay fermaya” tu kia chahta hai?” unsay kaha muje Hindustan main poncha dijiye. App nay hawa ko hukam dia kay isko utha ker Hindustan main rekh dey. Hawa nay usko Hindustan main pohncha dia. Phir mulk-ul-mout Hazrat Suliman (Alihe Salam) key pas aye. Aap nay pocha : Tum kyun us shaks ko goor se dikhtey they? Kaha mujhe tajub is bat se tha Allah ka hukam meray paas pohncha hai kay uski rooh Hindustan main kabz kero aor yeh apkay pas betha hai.

0 comments:

Post a Comment

Copyright @ 2013 history of islam.