Tuesday 25 June 2013

Filled Under:


HAZRAT IZRAEEL KA FAAJER AOR MUTEE BANDON KA JAN NIKALNAY KAY WAQAT KIS HALAT MAIN NAMUDDAR HONA

Hazrat Ibrahim (Alehe Salam) nay mulk-ul-mot se fermaya kay tum jis surat main faajer logon ki jaan nikaltey ho muje dikhao. Unhon nay arz kia kay aap iska tahamul na ferma sakhin gay. Hazrat Ibrahim ney fermaya kay nahi main tahamul ker lon ga. Hazrat Izraeel(Alehe Salam) nay arz kia kay acha dosri taraf mu kijiye. Hazrat Ibrahim (Alehe Salam) ney mu pheer lia. Iskay baad hazrat Izraeel (Alehe salam) nay arz kia kay ab dikhiye. Hazrat Ibhrahim nay jab upper dikha to aik nihayat kala admi (diyo ki shakal) baal baohat barey barey kharey hue, nihayat sakhat badbu, kalay kaprey. Uskay mu se, naak se aag ki liptain nikal rahi hain. Hazrat Ibrahim ko yeh dikh ker gash agiye. Kuch dair main afaqa hua to mulk-ul-mout apni pehli sourat main agye. Hazrat Ibrahim nay fermaya kay ager faajer shakas kay liye koi dosri aafat na ho tab yeh sourat hi uski mout kay liey kaafi hai
Hazrat Ibrahim nay mulku-mout se fermaya kay muje who surat bi dikho jo mutee bandon ki jaan nikalany kay waqat hoti hai. To hazrat Ibhrahim nay dikha kay aik nihayat khubsurat jawaan nafees labas pehnay hue khusbu mehkati hui samnay hai. Hazrat Ibrahim nay fermaya kay momin kay liye ager mertay waqat is surat kay ilawa koi bi ferhat ki cheez na ho to yeh bi kafi hai.

0 comments:

Post a Comment

Copyright @ 2013 history of islam.