Friday, 5 July 2013

VERY BEAUTYFULL WORDS

[IMG]AUR AGR KISI CHEAZ KA FAISLA NA KAR PAO TO FAISLA ALLAH PAR CHOPR DO KU K ALLAH PAK APNY BANDON K BARY MAIN SUB SY ACHA FAISLA KARTA HY

Thursday, 27 June 2013

azabe qabar haq hay

[IMG]

aahle jahanum ka khana in urdu

[IMG]

Tuesday, 25 June 2013


JANAT WALON SE CHAAR BATAIN

Hazrat Mohammed Salla Hu Ale WaAlihe wasalam ney fermaya jab janat main janati pohnch jayin gay to aik awaz denay wala inko awaz dey ga.

· Aye janat walo tum loog hamisha hamisha tundrust raho gay kabi bemar na ho gay.
· Aor tum zinda raho gay aor tum per kabi mout na aye gi.
· Aor tum loog hamisha jawan raho gay, kisi waqat bhuray na ho gay.
· Tumharey liye faisla hai kay tum hamisha chain aor aram main raho aor kabi takleef aor museebat na dikho.


ADNA DARJAY KA JANNATI


ADNA DARJAY KA JANATI



Hazrat Mohammed Salla Hu Ale WaAlihe wasalam ney fermaya adna darjey ka janati who shaks ho ga kay iskay liye asai hazar (80,000) hidmat guzar hon gay aor bahater (72) biwian hon gi aor uskay wastey aik khaimah lagaya jay ga jo moti aor zaberjad aor yaqoot ka bana hua ho ga aor is khaimay ka tool o arz yani lambai churai itni ho gi jitni jabiya se lay ker sana tak. Jabia aik shehr hai sham main aor sana yamen main aik mukam hai goya kay adna darjey kay janati ka khaima lambai aor churai main itna ho ga kay jitna yamen aor sham kay dermiyan fasla hai.

MALK-UL-MOUT ROZANA HER GHER MAIN CHAKER LAGATAY HAN


MALK-UL-MOUT ROZANA HER GHER MAIN CHAKER LAGATAY HAIN

Hazrat Hasan (RasiTala Anhu) fermatey hain kay malkulmout her gher main teen martaba rozana chaker laga ker dikhtey hain kay kis ka rizak pura ho giya, kis ki mudat-e-omer puri ho gayi, jiska rizak pura ho jata hai uski rooh kabz ker letay hain aor jab uskay gher waley uski mout per rotey hain to malkulmout derwazay kay chukhat per kharey ho ker kehtay hain: mera koi gunnah nahi, muje to isis ka hukam dia giya tha. Wallah mainy na to iska rizak khaya na iski umer ghatai, na isli mudat-e-eomer se kuch hisa kum kia. Main tumharey gheron main baar baa rata rahon ga. Yahn tak kay tum main se kisi ko bi baki nahi choron ga. 
Hazrat Hassan (RasiTala Anhu) nay fermaya ager maiyat kay gehr waley malkulmout ka khara hona dikh lain aor unka kalam sun lain to apni maiyat se gafil ho jayin aor apnay upper royin.
<

KABER KI PUKAR


                                     KABER KE PUKAR


Hazrat Abu Huraira (RasiTala Anhu) fermatey hain kay hum aik martaba Hazrat Mohammed Salla Hu Alihe Wasalam kay hamra aik janza kay sath chaley. Kaberistan main pohnch ker Hazrat Mohammed Salla Hu Alihe Wasalam aik kaber kay pas tahreef ferma hue aor irshad fermaya kay kaber per koi din aisa nahi guzarta jis main who nihayat fasheeh aor saaf awaz kay sath yeh ailan nahi kerti kay Ay Adam: kay betay tu mujhe bhool giya. Main tanhai ka gher hon, ajnabiyat ka gher hon, main whshat ka gher hon, main keeron ka gher hon, main nihayat tangi ka gher hon, mager is shakas kay liye jis per Allah muje waseeh bana dey. Iskay baad Hazrat Mohammed Salla Hu Alihe Wasalam nay fermaya kay kaber janat kay bagoon main se aik bag hai ya dozah kay gharon main se aik ghara hai.


Copyright @ 2013 history of islam.